kyun rakhu main ab apni kalam mei syahi
jab koi arman dil me machalta hi nahi
na jane kyun sabhi shak karte hai mujhpe
jab koi sookha phool meri kitab mein milta hi nahi
kashish to bhut thi humhare pyar mein
magar kya karu koi pathar dil pighalta hi nahi
agar khuda mile to us se apna pyar mangu
par suna hai woh marne se pehle kisi ko milta hi nahi.