Wednesday, April 29, 2020

Ajnabi Ban Ke Yaad Ayenge

ye na samjhna bhool jayenge tumhe
khushbu bankar mehkayenge tumhe
saathi ban k dost na keh sake to
ajnabie ban k yaad ayenge tumhe... !

Arman Dil Mein Machalta Hi Nahi

kyun rakhu main ab apni kalam mei syahi
jab koi arman dil me machalta hi nahi
na jane kyun sabhi shak karte hai mujhpe
jab koi sookha phool meri kitab mein milta hi nahi
kashish to bhut thi humhare pyar mein
magar kya karu koi pathar dil pighalta hi nahi
agar khuda mile to us se apna pyar mangu
par suna hai woh marne se pehle kisi ko milta hi nahi. 

Intezaar

jaam tootne ka bahana naa kar
hum to teri aankhon se pee lenge
tu mat aa lekin aane ka vaada to kar
hum tere intezaar main hi jee lenge

Ishq

har shaks ko diwana bana deta hai ishq
mili yaar se ik najar
fasana bna deta hai ishq
dil ke mariz ho to kar lo mohabbat
har dil ko dhadkna sikha deta hai ishq

Ikrar-E-Mohabbat

ashk wo bhi girane lage hai
paigam un ke bhi aane lage hai
ikrar karte hai ab mohabbat ka wo bhi
jab duniya shod ke hum jane lage hai.

Ghum Zindagi Ke

kabhi dost kehte ho 
kabhi dua dete ho
kabhi bewaqt neend se jaga dete ho
par jab bhi message krte ho
khuda kasam sare ghum zindagi ke bhula dete ho 

Salam Namaste

zindagi guzare haste haste
pyar aur khushi mile raste raste
ho mubarak aapko naya savera
kabool kare hamari salam namaste ❤️